TAQLEED

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH PART 2

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYOOTI RH PART 2

 

IMAM JALALUDDIN SUYOOTI RH farmate hain

 

عن ابن مسعود اثر اصرح فى ذم التقليد من الاثر المذكور وهو ما اخرجه البيهقى فى السنه عنه قال لا تقلدوا دينكم الرجال وقال ابن حزم فى كتابه النبذ الكافية فى علم الاصول التقليد حرام ولا يحل لاحد ان ياخذ قول احد غير رسول الله صلى الله عليه وسلم بلا برهان لقوله تعالى اتبعوا ما أنزل إليكم من ربكم ولا تتبعوا من دونه أولياء وقوله تعالى وإذا قيل لهم اتبعوا ما أنزل الله قالوا بل نتبع ما ألفينا عليه آباءنا وقال فى حق من لم يقلد فبشر عبادى الذين يستمعون القول فيتبعون احسنه اولائك الذين هد اهم الله و اولئك هم اولوا الاباب وقال تعالىفإن تنازعتم في شيء فردوه إلى الله والرسول إن كنتم تؤمنون بالله واليوم الآخر

 

Ki TAQLEED ki MAZAMMAT me HAZRAT ABDULLAH IBN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU ka ASAR saaf MAUJOOD hai ise BAIHAQI ne apni SUNAN me RIWAYAT kiya hai.HAZRAT ABDULLAH IBN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU ne farmaya ki tum apne DEEN me kisi bhi SHAKS ki TAQLEED Matt karna aur IBN HAZAM ne apni KITAB NABZATUL KAAFIYAH FI ILM UL USOOL me farmaya ki TAQLEED “HARAAM” hai aur kisi bhi SHAKS ke liye JAAYEZ nahi ki wo kisi ke QAUL ko IKHTIYAR kare beghair kisi DALEEL ke siwaaye RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLMAM ke. Aur ALLAH ne farmaya us cheez ki ITTIBA’A karo jo tumhari taraf NAAZIL kiya gaya hai tumhare RABB ki taraf se aur matt PAIRWI karo apne AULIYAO’N ki ALLAH ko chor kar (7:3) aur ALLAH ne farmaya aur jab unse kaha jaata hai ki us cheez ki ITTIBA’A karo jo ALLAH ne NAAZIL farmaya hai to ye JAWAAB dete hain NAHI ! Aur kehte hain hum to uski PAIRWI karenge jis par hum ne apne BAAP DADA ko paaya hai (2:170)aur ALLAH ne farmaya BASHARAT de dijiye mere BANDO’N ko jo baato’n ko GAUR se sunte hain aur us cheez ki ITTIBA’A karte hain jo sabse BEHTAR hoti hai yahi wo log hain jinhe ALLAH ne HIDAYAT di hai aur yahi AQAL waale bhi hain (39:18) aur ALLAH ne farmaya agar tumhare DARMIYAAN me kisi cheez par IKHTILAF ho jaaye to use LAUTA do ALLAH aur uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki taraf agar tum ALLAH aur QAYAMAT ke din par IMAAN rakhte ho

 

[[ AL RADD ALA MAN AKHLAD SAFA 52,53 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446447450316

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ  DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard

Leave a comment