TAQLEED

IMAM BUKHARI RH EK FAQEEH THE ULAMA KI GAWAHI

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUHWABARAKATUH

 

IMAM BUKHARI RH EK FAQEEH THE ULAMA KI GAWAHI

 

BA’AZ LOGO’N ko dekha gaya ki wo IMAM BUKHARI RH ki FUQAHAT se INKAR karte hain aur kehte hain ki wo FAQEEH nahi the, Aaiye is baat ka UZALA hum JALEEL UL QADR AIMMAH,FUQAHA WA MUHADDISEEN aur DEEGAR ULAMA se karte hain ki IMAM BUKHARI RH ek FAQEEH the,CHUNANCHA

 

1- IMAM BUKHARI RH ke USTAD ABU MUS’AB AHMAD BIN ABU BAKAR AZZAHRI RH (MUTAWAFFA 242 H) IMAM BUKHARI RH ke BARE me farmate hain

 

قَالَ لي أبو مصعب أحمد بن أبي بكر المديني: محمد بن إسماعيل افقه عندنا وأبصر من ابن حنبل. فقال رجل من جلسائه: جاوزت الحد. فقال أبو مصعب: لو أدركت مالكا ونظرت إلى وجهه ووجه محمد بن إسماعيل لقلت: كلاهما واحدا في الفقه والحديث.

 

Ki IMAM BUKHARI RH hamare khyal me IMAM AHMAD IBN HAMBAL RH se FUQAHAT me ZYADAH KAMAAL aur BASEERAT rakhte the, ek SHAKS ne AITERAZ kiya ki ABU MUS’AB ! AAP ne to unhe KHUD se bhi BADHAA diya, ABU MUS’AB bole, agar tum IMAM MALIK RH se mile hote aur IMAM BUKHARI RH aur IMAM MALIK RH dono’n ke CHEHRO’N par GHAUR kiya hota to tum bol uthte ki dono’n FUQAHAT aur BASAARAT BIL HADEES me BARABAR hain.

 

[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 339,TAREEKH E DIMASHQ JILD 15 SAFA 50,TAHZEEB UL KAMAL JILD 24 SAFA 455,TAREEKH E ISLAM SAFA 256,SIYAR A’ALAM UN NUBALA JILD 12 SAFA 420,TOHFAT UL AKHBARI SAFA 201, TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 401,MUQADDAMA FATAHUL BARI SAFA 482 ]]

 

SCAN PhotoGrid_1460997785160

 

2- IMAM BUKHARI RH ke SHUYOOKH IMAM YA’QOB BIN IBRAHEEN DAURQEE RH (MUTAWAFFA 252 H) aur IMAM NU’AIM BIN HAMMAD KHAZA’EE RH dono’n IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain

 

محمد بن إسماعيل فقيه هذه الأمة

 

Ki MUHAMMAD BIN ISMA’EEL RH is UMMAT ke FAQEEH hain.

 

[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 342,344,TAHZEEB UL KAMAL JILD 24 SAFA 457,459,TAREEKH E ISLAM SAFA 255,257,SIYAR A’ALAM UN NUBALA JILD 12 SAFA 419,424,TOHFAT UL AKHBARI SAFA 200 (QAUL AD DAURQEE),TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 404,TABQAT US SUBKI JILD 2 SAFA 223,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 483 ]]

 

SCAN PhotoGrid_1460999890737   Continue reading

Standard
TAQLEED

TAQLEED AUR ALLAMA MUHAMMAD HAYAT SANDI HANAFI RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

TAQLEED AUR ALLAMA MUHAMMAD HAYAT SANDI HANAFI RH

 

ALLAMA MUHAMMAD HAYAT SANDI HANAFI RH farmate hain

 

وتراهم يقرأون كتب الحديث ويطالعونها ويدرسونها لا ليعلموا بها بل ليعلموا دلائل من قلدوه وتأويل ما خالف قوله ويبالغون في المحامل البعيدة واذا عجزوا عن المحمل قالوا من قلدنا اعلم منا بالحديث

 

Ki (Ya’ni tum MUQALLIDO’N ko dekho) ki wo HADEES ki KITABE’N padhenge,unka MUTAL’A karenge aur unki TA’LEEM denge, us par AMAL karne ke liye nahi balki isliye ki hamare IMAM ki DALEEL ka hame ILM ho jaye aur jo unke QAUL ke KHILAF hai uski TAWEEL ki jaye,wo unki badi DOOR ki TAWEEL karne me MUBALIGHA karte hain aur jab kisi MAHMAL par MAHMOOL karne se AAJIZ aa jayen to kehte hain ki hamara IMAM humse HADEES ZYADAH janta tha

 

[[ TOHFAT UL ANAM SAFA 52,53 ]]

 

SCAN

PhotoGrid_1461227220957

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==> AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

KYA IMAM BUKHARI RH MUQALLID THE ? AHNAF KI GAWAHI

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

BA’AZ LOGO’N NE IMAM BUKHARI RH KO MUQALLID SAABIT KARNE POORA JOR LAGA DIYA HAI LEKIN PHIR BHI WO APNE MAQSAD ME KAAMYAB NA HO SAKE AAJ INSHA ALLAH IS POST ME YE SABIT KIYA JAAYEGA KI IMAM BUKHARI RH MUQALLID NAHI THE

 

Aaiye pehle dekhte hain ki MUQALLID aur MUJTAHID ke baare me kya BAYAN kiya gaya hai

 

1- IMAM IBN QAYYIM RH likhte hain

 

الْمُقَلِّدُ لَيْسَ مِنْ الْعُلَمَاءِ بِاتِّفَاقِ الْعُلَمَاءِ

 

ki ULAMA ka is baat par ITTEFAQ hai ki MUQALLID ALIM nahi hota

 

[[ I’LAAM UL MU’AQQIEEN JILD 3 SAFA 469 ]]

 

SCAN

PhotoGrid_1460187523944

Continue reading

Standard
TAQLEED

KYA IMAM AHMAD RH NE TAQLEED NA KARNE WALO’N KO FAASIQ KAHA HAI? EK AITERAZ AUR USKA JAIZAH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

KYA IMAM AHMAD RH NE TAQLEED NA KARNE WAALO’N KO FAASIQ KAHA HAI ? EK AITERAZ AUR USKA JAAIZAH

 

BAAZ MUQALLIDEEN ko dekha jaata hai ki wo DIFAA E TAQLEED me IMAM AHMAD RH ka ye QAUL pesh karte hain

 

SCAN

12025416_1488965868072185_486570072_n

 

 

INSHA ALLAH AAJ IS POST ME ISKA JAWAAB DIYA JAAYEGA MULAHIZA HO: –

 

IMAM IBN ABI YA’ALA RH ki KITAB TABQAT UL HANABILAH me MAUJOOD IMAM AHMAD RH se MANSOOB ye KALAAM DAR’ASAL ek poore RISAALAH se MUQTABIS hai aur iski SANAD ye hai

 

ABUL HASAN IBN ABI YA’ALA (526 H) farmate hain

 

روى عَنْ إمامنا أشياء منها: ما قرأت عَلَى المبارك عَنْ علي بن عمر البرمكي قَالَ أَخْبَرَنَا أحمد بْن عَبْدِ الله المالكي لفظا حَدَّثَنَا أبي حَدَّثَنَا محمد بن إبراهيم بْن عَبْدِ اللَّهِ بن يعقوب بن زوران حَدَّثَنَا أبو العباس أحمد بن جعفر بن يعقوب بْن عَبْدِ اللَّهِ الفارسي الأصطخري قَالَ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ أحمد بن محمد بن حنبل.

 

[[ TABQAT UL HANABILAH JILD 1 SAFA 54,55 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446338498947

 

IS SANAD ME EK RAAWI YA’QOOB BIN ABDULLAH ALFAARSI “AL ASTAKHREE” HAIN INKE BAARE ME AQWAALAT MULAHIZA HO’N

 

IMAM ZAHBI RH is RIWAYAT ke MUTA’ALLIQ likhte hain

 

’’ كرسالة الاصطخري، ولا كالرد على الجهمية الموضوع على أبي عبد الله

 

Ki “ASTAKHREE” ki RIWAYAT se IMAM AHMAD RH ka KALAAM aur AL RADD ALAL JAHMIYAH naami RISAALAH IMAM ABU ABDULLAH AHMAD BIN HAMBAL ke NAAM par JHOOT GADHE gaye hain

 

[[ SIYAR A’ALAMIN NUBALA JILD 11 SAFA 386,287 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446406166194

 

 

Aur AAGE chal kar ASTAKHREE ke is RISAALAH par MAZEED kuch KALAAM NAQAL karne ke baad IMAM ZAHBI RH farmate hain

 

«إلى أن ذكر أشياء من هذا الأنموذج المنكر والأشياء التي والله ما قالها الإمام فقاتل الله واضعها.. ومن أسمج ما فيها قوله:

(ومن زعم أنه لا يرى التقليد ولا يقلد دينه أحدًا فهذا قول فاسق عدو لله).. فانظر إلى جهل المحدثين كيف يروون هذه الخرافة ويسكتون عنها»

 

Ki ASTAKHREE ne apni is RIWAAYAT me kayi MUNKIR ASHYAA (اشیاء) NAQAL ki hai, jo “ALLAH KI QASAM IMAAM AHMAD RH KA KALAAM NAHI HAI” jaise ye baat ki ” JO TAQLEED NAHI KARTA AUR KISI KA MUQALLID NAHI WO ALLAH KA DUSHMAN AUR FAASIQ HAI” to AAP RAAWIYO’N ki JIHAALAT dekhiye ki unhone aisi KHURAAFAT KHAAMOSHI se AAGE BAYAAN kar di’n

 

[[ SIYAR A’ALAMIN NUBALA JILD 11 SAFA 303 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446407657213

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH PART 3

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

RADD E TAQLEED AUR IMAM SUYUTI RH PART 3

 

IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH farmate hain

 

وهل اباح مالك و ابو حنيفة والشافعي رضي الله عنہم قط لاحد تقليدهم حاشا لله من هذا بل والله قد نہوا عن ذلك ومنعوا منه ولم يفسحوا لاحد فيه

 

Ki kya IMAM MAALIK aur IMAM ABU HANIFA aur IMAM SHAFAYI RAZIALLAHU ANHU ne kisi ke liye apni TAQLEED ki IJAZAT di hai ? HAAYE AFSOS hai isse , balki ALLAH KI QASAM un logo’n ne to isse MANAA kiya hai aur un logo’n ne to iski ( yani TAQLEED ki ) koi JAGAH hi nahi chori hai kisi ke liye

 

[[ AL RADD ALA MAN AKHLAD SAFA 53 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446562229139

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ  DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH PART 2

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYOOTI RH PART 2

 

IMAM JALALUDDIN SUYOOTI RH farmate hain

 

عن ابن مسعود اثر اصرح فى ذم التقليد من الاثر المذكور وهو ما اخرجه البيهقى فى السنه عنه قال لا تقلدوا دينكم الرجال وقال ابن حزم فى كتابه النبذ الكافية فى علم الاصول التقليد حرام ولا يحل لاحد ان ياخذ قول احد غير رسول الله صلى الله عليه وسلم بلا برهان لقوله تعالى اتبعوا ما أنزل إليكم من ربكم ولا تتبعوا من دونه أولياء وقوله تعالى وإذا قيل لهم اتبعوا ما أنزل الله قالوا بل نتبع ما ألفينا عليه آباءنا وقال فى حق من لم يقلد فبشر عبادى الذين يستمعون القول فيتبعون احسنه اولائك الذين هد اهم الله و اولئك هم اولوا الاباب وقال تعالىفإن تنازعتم في شيء فردوه إلى الله والرسول إن كنتم تؤمنون بالله واليوم الآخر

 

Ki TAQLEED ki MAZAMMAT me HAZRAT ABDULLAH IBN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU ka ASAR saaf MAUJOOD hai ise BAIHAQI ne apni SUNAN me RIWAYAT kiya hai.HAZRAT ABDULLAH IBN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU ne farmaya ki tum apne DEEN me kisi bhi SHAKS ki TAQLEED Matt karna aur IBN HAZAM ne apni KITAB NABZATUL KAAFIYAH FI ILM UL USOOL me farmaya ki TAQLEED “HARAAM” hai aur kisi bhi SHAKS ke liye JAAYEZ nahi ki wo kisi ke QAUL ko IKHTIYAR kare beghair kisi DALEEL ke siwaaye RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLMAM ke. Aur ALLAH ne farmaya us cheez ki ITTIBA’A karo jo tumhari taraf NAAZIL kiya gaya hai tumhare RABB ki taraf se aur matt PAIRWI karo apne AULIYAO’N ki ALLAH ko chor kar (7:3) aur ALLAH ne farmaya aur jab unse kaha jaata hai ki us cheez ki ITTIBA’A karo jo ALLAH ne NAAZIL farmaya hai to ye JAWAAB dete hain NAHI ! Aur kehte hain hum to uski PAIRWI karenge jis par hum ne apne BAAP DADA ko paaya hai (2:170)aur ALLAH ne farmaya BASHARAT de dijiye mere BANDO’N ko jo baato’n ko GAUR se sunte hain aur us cheez ki ITTIBA’A karte hain jo sabse BEHTAR hoti hai yahi wo log hain jinhe ALLAH ne HIDAYAT di hai aur yahi AQAL waale bhi hain (39:18) aur ALLAH ne farmaya agar tumhare DARMIYAAN me kisi cheez par IKHTILAF ho jaaye to use LAUTA do ALLAH aur uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki taraf agar tum ALLAH aur QAYAMAT ke din par IMAAN rakhte ho

 

[[ AL RADD ALA MAN AKHLAD SAFA 52,53 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446447450316

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ  DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

EK MAZHAB KI TAQLEED AUR IMAM TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

EK MAZHAB KI TAQLEED AUR IMAM TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH

 

ALLAMA TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH (771 H) farmate hain

 

وأما تعصبكم في فروع الدين وحملكم الناس على مذهب واحد فهو الذي لا يقبله الله منكم ولا يحملكم عليه إلا محض التعصب والتحاسد ولو أن الشافعي وأبا حنيفة ومالكا وأحمد أحياء يرزقون لشددوا النكير عليكم وتبرءوا منكم فيما تفعلون

 

Ki FUROO E DEEN ke MU’AAMLE me tumhari ye TA’ASSUB PARASTI aur logo’n ko ek MAZHAB ko pakadne ki TARGEEB karna ye aisa AMAL hai jise ALLAH tumse QUBOOL nahi karega aur kuch bhi tumhe TARGEEB nahi deta siwaye TA’ASSUB PARASTI aur JALAN ke. Agar IMAM MALIK RH,IMAM ABU HANIFA RH,IMAM SHAFAYI RH,IMAM AHMAD RH ZINDAA hote to ye sab bahut BURI tarah se tumhari TARDEED karte aur TAH E DIL se iski MAZAMMAT karte jo tum kar rahe ho

 

[[ MU’EED UN NA’AM SAFA 76 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446286798680

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN
Standard
TAQLEED

USOOL E MUQALLIDEEN

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

USOOL E MUQALLIDEEN AUR MUQALLIDEEN KA DHOKA

 

MUQALLID aksar chillate rehte hain ki hamara USOOL QURAN HADEES IJMA QYAAS hai haalanki ye ek bahut badaa JHOOT hai ye USOOL MUQALLID ke nahi balki MUJTAHID ke hain

 

SA’AD UD DIN MAS’OOD BIN UMAR TAFTAZAANI likhte hain ki

 

وَالْأَدِلَّةُ الْأَرْبَعَةُ إنَّمَا يَتَوَصَّلُ بِهَا الْمُجْتَهِدُ لَا الْمُقَلِّدُ فَأَمَّا الْمُقَلِّدُ فَالدَّلِيلُ عِنْدَهُ قَوْلُ الْمُجْتَهِدِ فَالْمُقَلِّدُ يَقُولُ هَذَا الْحُكْمُ وَاقِعٌ عِنْدِي؛ لِأَنَّهُ أَدَّى إلَيْهِ رَأْيُ أَبِي حَنِيفَةَ – رَحِمَهُ اللَّهُ – وَكُلُّ مَا أَدَّى إلَيْهِ رَأْيُهُ فَهُوَ وَاقِعٌ عِنْدِي

 

ADILLA E ARBA’A (QURAN,HADEES,IJMA,QYAAS,) ka TA’ALLUQ MUJTAHID se hai na ki MUQALLID se kyon ki MUQALLID ke liye DALEEL MUJTAHID ka QAUL hai,lehaza MUQALLID kahega ki ye HUKM mere NAZDEEQ isliye hai kyon ki isme ABU HANIFA RH ki ye RAAYE hai aur har ek MU’AAMLA me unki jo RAAYE hai meri bhi wahi hai

 

[[ SHARAH AT TALWEEH ALAA AT TAOZEEH JILD 1 SAFA 21 ]]

 

LEHAZA MUQALLIDEEN SE GUZARISH HAI KI AAJ KE BAAD SE YE USOOL APNE OOPAR CHASPA NA KAREN

SCAN

PhotoGrid_1442907288502

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

QAUL E NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR IJMA KI TARAF RUJU KARNA TAQLEED NAHI BAQAUL IMAM IBN QUDAMA RH

IMAM ABDULLAH BIN AHMAD BIN QUDAAMA AL HAMBALI RH farmate hain

 

وهو فى عرف الفقهاء قبول قول الغير من غير حجة اخذا من هذاالمعنى فلا يسمى الاخذ بقول النبى صلى الله عليه وسلم والاجماع تقليدا

 

Ki ye (TAQLEED) ARF E FUQAHA me GHAIR ka QAUL BEGHAIR HUJJAT ke QUBOOL karna hai is MA’NA ke LIHAAZ se NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka QAUL aur IJMAA TASLEEM karna TAQLEED nahi kehlata

 

[[ RAUZATUN NAAZIR WA JUNNATUL MANAZIR SAFA 205]]

 

SCAN

PhotoGrid_1433151573147

 

MINJANIB==>AMIR ADNAN

Standard
TAQLEED

IMAM IBN HAMMAM HANAFI RH farmate hain

 

مَسْأَلَةُ التَّقْلِيدِ الْعَمَلُ بِقَوْلِ مَنْ لَيْسَ قَوْلُهُ إحْدَى الْحُجَ بِلَا حُجَّةٍ مِنْهَا فَلَيْسَ الرُّجُوعُ إلَى النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – وَالْإِجْمَاعُ مِنْهُ

 

ki TAQLEED us SHAKS ke QAUL par BEGHAIR DALEEL ke AMAL ko kehte hain jiska QAUL DALAIL me se nahi hai,pas NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM aur IJMA ki taraf RUJU TAQLEED me se nahi hai

 

[[ TAHREER IBN HAMMAM FI ILM UL USOOL JILD 3 SAFA 453]]

 

SCAN NOT AVAILABLE NET PAR YE KITAB NAHI MILI

 

iski TASHREEH karte hue IBN AMEER UL HAJJAJ HANAFI ne likha hai

 

مَسْأَلَةُ التَّقْلِيدِ الْعَمَلُ بِقَوْلِ مَنْ لَيْسَ قَوْلُهُ إحْدَى الْحُجَجِ) الْأَرْبَعِ الشَّرْعِيَّةِ (بِلَا حُجَّةٍ مِنْهَا فَلَيْسَ الرُّجُوعُ إلَى النَّبِيِّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – وَالْإِجْمَاعُ مِنْهُ) أَيْ مِنْ التَّقْلِيدِ عَلَى هَذَا؛ لِأَنَّ كُلًّا مِنْهُمَا حُجَّةٌ شَرْعِيَّةٌ مِنْ الْحُجَجِ الْأَرْبَعِ، وَكَذَا لَيْسَ مِنْهُ عَلَى هَذَا عَمَلُ الْعَامِّيِّ بِقَوْلِ الْمُفْتِي وَعَمَلُ الْقَاضِي بِقَوْلِ الْعُدُولِ؛

 

Ki TAQLEED kisi SHAKS ke QAUL par BEGHAIR DALEEL ke AMAL karne ko kehte hain jo ADILLA E ARBA me se na ho aur NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki taraf RUJU karna TAQLEED nahi hai isi tarah AAMI ka MUFTI se aur QAAZI ka GAWAHON ki GAWAHI ke MUTABIQ faisla karna TAQLEED nahi hai

 

[[ AT  TAQREER WAT TAHBEER ALA TAHBEER FI USOOL UL FIQH JILD 3 SAFA 433] ]

SCAN

PicsArt_1432983412978

 

AB MUQALLID KHUD HI FAISLA KAR LEN AUR JO TAQLEED KI TAREEF BADAL DI HAI IN LOGO NE KI APNE ALIM PAR AITEMAD KAR K DALEEL KA MUTALBA NA KARNA YE TAQLEED HAI TO BARAYE MAHARBANI KISI AIMMA E MUTAQADDIMEEN SE SAABIT KAR DEN WARNA YE TASLEEM KAR LEN KI TAQLEED USKO KEHTE HAIN JISKI KOI DALEEL HI NA HO QURAN O HADEES SE PHIR BHI USPAR AMAL KIYA JAYE

 

MINJANIB==>AMIR ADNAN

Standard