MASAIL UL QUBOOR

TALQEEN AL MAYYAT SE MUTA’ALLIQ RIWAYAAT KA TAHQEEQI JAIZAH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

TALQEEN AL MAYYAT SE MUTA’ALLIQ RIWAYAAT KA TAHQEEQI JAIZAH

 

BA’AZ log TALQEEN AL MAYYAT SABIT karne ke liye ek HADEES pesh karte hain

 

حَدَّثَنَا أَبُو عَقِيلٍ أَنَسُ بْنُ سَلْمٍ الْخَوْلَانِيُّ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ إِبْرَاهِيمَ بْنِ الْعَلَاءِ الْحِمْصِيُّ، ثنا إِسْمَاعِيلُ بْنُ عَيَّاشٍ، ثنا عَبْدُ اللهِ بْنُ مُحَمَّدٍ الْقُرَشِيُّ، عَنْ يَحْيَى بْنِ أَبِي كَثِيرٍ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ عَبْدِ اللهِ الْأَوْدِيِّ، قَالَ: شَهِدْتُ أَبَا أُمَامَةَ وَهُوَ فِي النَّزْعِ، فَقَالَ: إِذَا أَنَا مُتُّ، فَاصْنَعُوا بِي كَمَا أَمَرَنَا رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنْ نصْنَعَ بِمَوْتَانَا، أَمَرَنَا رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ: ” إِذَا مَاتَ أَحَدٌ مِنْ إِخْوَانِكُمْ، فَسَوَّيْتُمِ التُّرَابَ عَلَى قَبْرِهِ، فَلْيَقُمْ أَحَدُكُمْ عَلَى رَأْسِ قَبْرِهِ، ثُمَّ لِيَقُلْ: يَا فُلَانَ بْنَ فُلَانَةَ، فَإِنَّهُ يَسْمَعُهُ وَلَا يُجِيبُ، ثُمَّ يَقُولُ: يَا فُلَانَ بْنَ فُلَانَةَ، فَإِنَّهُ يَسْتَوِي قَاعِدًا، ثُمَّ يَقُولُ: يَا فُلَانَ بْنَ فُلَانَةَ، فَإِنَّهُ يَقُولُ: أَرْشِدْنَا رَحِمَكَ اللهُ، وَلَكِنْ لَا تَشْعُرُونَ. فَلْيَقُلْ: اذْكُرْ مَا خَرَجْتَ عَلَيْهِ مِنَ الدُّنْيَا شَهَادَةَ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ، وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ، وَأَنَّكَ رَضِيتَ بِاللهِ رَبًّا، وَبِالْإِسْلَامِ دِينًا، وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا، وَبِالْقُرْآنِ إِمَامًا، فَإِنَّ مُنْكَرًا وَنَكِيرًا يَأْخُذُ وَاحِدٌ مِنْهُمْا بِيَدِ صَاحِبِهِ وَيَقُولُ: انْطَلِقْ بِنَا مَا نَقْعُدُ عِنْدَ مَنْ قَدْ لُقِّنَ حُجَّتَهُ، فَيَكُونُ اللهُ حَجِيجَهُ دُونَهُمَا “. فَقَالَ رَجُلٌ: يَا رَسُولَ اللهِ، فَإِنْ لَمْ يَعْرِفْ أُمَّهُ؟ قَالَ: «فَيَنْسُبُهُ إِلَى حَوَّاءَ، يَا فُلَانَ بْنَ حَوَّاءَ»

 

Ki “SA’EED BIN ABDULLAH AL AUDEE bayan karte hain ki mai SAYYADNA ABU UMAMAH RAZIALLAHU ANHU ki KHIDMAT me us WAQT HAZIR hua,jab wo JAAN KUNI (MAUT KE QAREEB) ki HAALAT me the,wo farmane lage : jab mai FAUT ho jaaoo’n to mere sath usi tarah ka MA’AMLA karna,jis tarah hume RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne apne MURDO’N ke sath karne ka HUKM diya hai,AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hume HUKM farmaya tha ki jab tum me se koi FAUT ho jaye aur tum uski QABR par MITTI BARABAR kar chuko to tum me se ek SHAKS uski QABR ke SIRHAANE ki JANIB khada ho kar kahe,aye FALAA’N AURAT ke FALAA’N BETE ! Jab wo ye kahega to MURDA uth kar BAITH jayega,MURDAH ye baat SUNEGA,lekin JAWAB nahi dega. Phir wo kahe ! Aye FALAA’N AURAT ke BETE FALAA’N ! Wo kahega ALLAH tujh par RAHEM kare ! Hamari RAHNUMAYI kar,lekin tum iska SHU’OOR nahi rakhte. Phir kahe ki tu is baat ko YAAD kar, jis par DUNIYA se RUKHSAT hua hai. Is baat ki GAWAHI ki ALLAH ke SIWAA koi MA’BOOD nahi aur MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM uske BANDAY aur RASOOL hain. Tu ALLAH ke RABB hone, MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke NABI hone,ISLAAM ke DEEN hone aur QURAN ke IMAM hone par RAAZI tha. MUNKAR aur NAKEER me se ek, DOOSRE ka HATH pakad kar kahta hai, CHALO ! Jis AADMI ko uska JAWAB bata diya gaya ho,uske paas hum nahi BAITHTE. Chunancha DONO’N ke samne ALLAH TA’AALA uska HAAMI ban jayega . Ek AADMI ne ARZ ki, ALLAH ke RASOOL ! agar wo (TALQEEN karne wala) us ki (MARNE wale ki) MAA’N ko na JANTA ho to (kya kare ?),farmaya : wo use HAWWA ALAIHIS SALAM ki taraf MANSOOB kar ke kahe, aye HAWWA ke FALAA’N BETE ”

 

[[ AL MU’AJAM AL KABEER LIT TABRANI JILD 8 SAFA 250,AD DUAA LIT TABRANI JILD 3 SAFA 298, WASAYA ULAMA INDA HUZOOR ALMAUT LA IBN ZUBAIR SAFA 46-47,ASSHAFI LI ABDUL AZEEZ NAQLAN AN TALKHEES AL HABEER LA IBN HAJAR JILD 2 SAFA 136,ITTIBA UL AMWAT LIL IBRAHEEM ALHARABI NAQLAN AL MAQASID UL HASANA LIS SAKHAWI SAFA 265,AL AHKAM LIZ ZIYA UL MAQDSI NAQLAN AL MAQASID UL HASANAH SAFA 265 ]]

 

TABSERAH==> YE SANAD BAHUT SAKHT TAREEN ZA’EEF HAI,q ki

 

1- ISMA’EEL BIN AIYAASH ki AHLE HIJAAZ se BAYAN kardah RIWAYAT ZA’EEF hoti hai.

 

MAZKOORAH RIWAYAT bhi AHLE HIJAAZ se hai LEHAZA ZA’EEF hai.

 

IMAM IBN ABDUL BARR RH (MUTAWAFFA 463 H) farmate hain

 

وَإِسْمَاعِيلُ بْنُ عَيَّاشٍ (عِنْدَهُمْ) أَيْضًا غَيْرُ مَقْبُولِ الْحَدِيثِ إِذَا حَدَّثَ عَنْ غَيْرِ أَهْلِ بَلَدِهِ فَإِذَا حَدَّثَ عَنِ الشَّامِيِّينَ فَفِي حَدِيثِهِ خَطَأٌ كَثِيرٌ وَاضْطِرَابٌ وَلَا أَعْلَمُ بَيْنَهُمْ خِلَافًا أَنَّهُ لَيْسَ بِشَيْءٍ فِيمَا رَوَى عَنْ غَيْرِ أَهْلِ بَلَدِهِ

 

Ki ISMA’EEL BIN AIYAASH jab apne ILAAQE walo’n ke ALAWAH kisi aur se BAYAN kare,to MUHADDISEEN ke haa’n uski HADEES bhi QUBOOL nahi hoti. Jab wo SHAMI logo’n se BAYAN kare to uski HADEES SAHEEH hoti hai. Jab SHAMIYO’N ke ALAWAH MADNIYO’N aur DEEGAR ILAAQE walo’n se BAYAN kare to uski RIWAYAT me bahut ZYADAH GALATI aur IZTERAB hota hai. Meri MALOOMAT ke MUTABIQ MUHADDISEEN KARAAm ka is BAAT me koi IKHTILAF nahi ki jab ISMA’EEL BIN AIYAASH apne ILAAQE walo’n ke ALAWAH kisi se BAYAN kare to uski HADEES QABIL UTTIFAAQ nahi hoti

 

[[ AL TAMHEED JILD 6 SAFA 429 ]]

 

SCAN

photogrid_1471437518732

 

IMAM YA’QOOB BIN SUFIYAN FASWEE RH (MUTAWAFFA 277 H) farmate hain

 

وَتَكَلَّمِ قَوْمٌ فِي إِسْمَاعِيلَ، وَإِسْمَاعِيلُ ثِقَةٌ عَدْلٌ أَعْلَمُ النَّاسِ بِحَدِيثِ الشَّامِ، وَلَا يَدْفَعُهُ دَافِعٌ، وَأَكْثَرُ مَا تَكَلَّمُوا قَالُوا: يُغْرِبُ عَنْ ثِقَاتِ الْمَدَنِيِّينَ وَالْمَكِّيِّينَ

 

Ki kuch AHLE ILM ne ISMA’EEL BIN AIYAASH par JARAH ki hai.ISMA’EEL SIQAA aur ADAL hain, SHAAM ki HADEES ko sab se badh kar JANNE waale hain.koi bhi unko RADD nahi karta,ZYADAH se ZYADAH unke bare me ye kaha gaya hai ki ye MADEENAH aur MAKKAH ke rahne wale SIQAA RAAWIYO’N se MUNKIR RIWAYAAT BAYAN karte hain

 

[[ AL MA’RIFAH WAT TAREEKH JILD 2 SAFA 424 ]]

 

SCAN

photogrid_1471438323262

 

IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH (MUTAWAFFA 852 H) farmate hain

 

صدوق في رواية عن أهل بلده مخلط في غيرهم

 

Ki jab apne AHLE ILAAQA se BAYAN kare to SUDOOQ hota hai aur jab kisi aur se BAYAN kare to HAAFZAH ki KHARABI ka SHIKAR hota hai

 

[[ TAQREEB UT TAHZEEB SAFA 142 RAQAM 477 ]]

 

SCAN

photogrid_1471439250041

 

Ye RIWAYAT bhi HIJAAZIYO’N se hai lehaza ZA’EEF hai. Ye JARAH MUFASSAR hai.

 

2- Is RIWAYAT ka ek RAAWI ABDULLAH BIN MUHAMMAD QURASHI hai iske baare me IMAM ZAHBI RH (MUTAWAFFA 748 H) farmate hain

 

عبدالله،لا يدرى من هو

 

Ki ye ABDULLAH naami RAAWI,MALOOM nahi ho saka ki KON hai

 

[[ MEEZAN UL AITEDAL JILD 3 SAFA 244 TAHQEEQ IMRAN BIN HAROON ]]

 

SCAN NOT AVAILABLE

 

3- YAHYA BIN ABU KASEER MUDALLIS hain

 

IMAM DAARQUTNI RH (MUTAWAFFA 385 H) farmate hain

 

ويحيى بن أبي كثير معروف بالتدليس

 

Ki aur YAHYA BIN ABU KASEER TADLEES me MASH’HOOR hain

 

[[ ILLAL LIL DAARQUTNI JILD 11 SAFA 124 ]]

 

SCAN

photogrid_1471442364101

 

IMAM HAFIZ IBN HAJAR RH ne YAHYA BIN ABU KASEER ko TABQA E SALISA me ZIKR kiya hai

 

[[ NUKAT ALA IBN SALAH SAFA 643 ]]

 

SCAN

photogrid_1471442836557

 

Aur ek HADEES par unke AN ANA ki WAJAH se NAQD karte hue kehte hain

 

وَقَالَ ابْنُ الْقَطَّانِ: حَدِيثُ جَابِرٍ صَحيِحٌ؛ لأَنَّ مُحَمَّدَ بْنَ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ثِقَةٌ، وَقَدْ صَحَّ سَمَاعُهُ مِنْ جَابِرٍ.قُلْتُ: إِلا أَنَّ يَحْيَى بْنَ أَبِي كَثِيرٍ مُدَلِّسٌ،

 

Ki aur IBN QATTAN ne farmaya ki HAZRAT JABIR RAZIALLAHU ANHU ki HADEES SAHEEH hai aur BESHAK MUHAMMAD IBN ABDURRAHMAN SIQA hain aur usne JABIR RAZIALLAHU ANHU se SUNA hai aur mai kehta hu magar BESHAK YAHYA BIN ABU KASEER MUDALLIS hain

 

[[ ITHAAF UL MAHRAH JILD 3 SAFA 325 ]]

 

SCAN

photogrid_1471443628923

 

4- Is ke ek RAAWI SA’EED BIN ABDULLAH AUDEE ki TAUSEEQ nahi mil saki isi liye HAFIZ HAISMEE RH farmate hain

 

وفی إسنادہ جماعة،لم أعرفهم

 

Ki is (TABRANI) ki SANAD me kayi RAAWI aise hain jinhe mai PAHCHAN nahi saka

 

[[ MAJMA UZ ZAWAID JILD 3 SAFA 45 ]]

 

SCAN

photogrid_1471444059505

 

Lehaza HAFIZ IBN HAJAR RH ka ye kehna SAHEEH nahi

 

إسناده صالح،وقد قواه الضياء في أحكامه

 

Ki iski SANAD HASAN hai.IMAM ZIYAA MAQDSEE ne ise apni KITAB AHKAAM me MAZBOOT QARAR diya hai

 

[[ TALKHEES UL HABEER JILD 2 SAFA 135,136 HADEES 796 ]]

 

Jabki khud IMAM IBN HAJAR RH ek MAQAM par is HADEES ke baare me farmate hain

 

هذا حديث غريب،وسند الحديث من الطريقين ضعيف جدا

 

Ki ye HADEES ZA’EEF hai aur iski DONO’N SANADE’N ZA’EEF hain

 

[[ FUTOOHAT UL RABBANIYAH JILD 4 SAFA 138 ]]

 

SCAN

photogrid_1471444639707

 

Isi liye HAFIZ SAKHAWI RH ne likha hai ki

 

وضعفه ابن الصلاح، ثم النووي، وابن القيم، والعراقي، وشيخنا في بعض تصانيفه،

 

Hamare SHAIKH IMAM IBN HAJAR RH ne apni baaz TASANEEF me is HADEES ko ZA’EEF kaha hai

 

[[ AL MAQASID UL HASANAH SAFA 265 ]]

 

SCAN

photogrid_1471445288581

 

HAFIZ IBN HAJAR RH ke SHAIKH HAFIZ IRAAQI RH farmate hain

 

اخرجه الطبراني اسناد ضعيف

 

Ki is RIWAYAT ko IMAM TABRANI RH ne ZA’EEF SANAD ke sath BAYAN kiya hai

 

[[ TAKHREEJ AHADEES IHYA ULOOM UD DEEN SAFA 2614 wa TAKHREEJ AHADEES IHYA=AL MUGHNI AN HAMAL UL ASFAR SAFA 1875 ]]

 

SCAN

photogrid_1471445693484

 

IMAM NAWWI RH farmate hain

 

اسنادہ ضعیف

 

Ki iski SANAD ZA’EEF hai

 

[[ AL MAJMOO’A JILD 5 SAFA 274 ]]

 

SCAN

photogrid_1471454755862

 

IMAM IBN SALAAH RH farmate hain

 

لَيْسَ بالقائم إِسْنَاده

 

Ki iski SANAD QABIL E HUJJAT nahi

 

[[ FATAWA IBN SALAAH SAFA 261 ]]

 

SCAN

photogrid_1471455199406

 

IMAM IBN QAYYIM RH farmate hain

 

ضعيف بِاتِّفَاق أهل الْعلم بِالْحَدِيثِ

 

Ki MUHADDISEEN E KARAAM ka is HADEES ke ZA’EEF hone par ITTEFAQ hai

 

[[ TOHFATUL MAUDOOD SAFA 215 ]]

 

SCAN

photogrid_1471455591184

 

NEZ farmate hain

 

فلا تقوم به حجة

 

Ki aur ise DALEEL nahi banaya ja sakta

 

[[ TAHZEEB US SUNAN SAFA 2338 ]]

 

SCAN

photogrid_1471455989674

 

IMAM HAISMEE RH (MUTAWAFFA 807 H) farmate hain

 

وفی إسنادہ جماعة،لم أعرفهم

 

Ki is (TABRANI) ki SANAD me kayi RAAWI aise hain jinhe mai PAHCHAN nahi saka

 

[[ MAJMA UZ ZAWAID JILD 3 SAFA 45 ]]

 

SCAN

photogrid_1471444059505

 

IMAM SUYUTI RH (MUTAWAFFA 911 H) farmate hain

 

التَّلْقِينَ لَمْ يَثْبُتْ فِيهِ حَدِيثٌ صَحِيحٌ وَلَا حَسَنٌ، بَلْ حَدِيثُهُ ضَعِيفٌ بِاتِّفَاقِ الْمُحَدِّثِينَ؛

 

Ki (QABR par) TALQEEN karna kisi SAHEEH ya HASAN HADEES se SABIT nahi hai balki is baare me MARWI HADEES BA ITTEFAQ E MUHADDISEEN ZA’EEF hai

 

[[ ALHAAWI LIL FATAWI JILD 2 SAFA 191 ]]

 

SCAN

photogrid_1471456662150

 

NEZ kehte hain ki

 

في معجم الطبراني بسند ضعيف

 

Ye RIWAYAT ZA’EEF SANAD ke sath TABRANI me MAUJOOD hai

 

[[ DURAR UL MUNTASHRAH SAFA 215 ]]

 

SCAN

photogrid_1471457411240

 

Lehaza ALLAMAH AINEE HANAFI RH ka iski SANAD ko SAHEEH kehna BE MA’NA aur NA QABIL UT TIFAAQ hai

 

[[ ALBANAYAH FI SHARAH HIDAYAH JILD 3 SAFA 177 ]]

 

Nez IMAM IBN MULAQQAN RH ka is bare me ye kehna bhi QAT’AN SAHEEH nahi ki

 

اسناده،لا أعلم به بأساً

 

Iski SANAD me mujhe koi HARJ MA’LOOM nahi hota

 

[[ BADRUL MUNEER JILD 5 SAFA 334 ]]

 

Q ki ek MUQAM par wo khud ISMA’EEL BIN AIYAASH ke baare me likhte hain

 

وَهُوَ عَن غير الشاميين لَيْسَ بشي عِنْد الْجُمْهُور.

 

Ki JAMHOOR MUHADDISEEN E KARAM ke NAZDEEK iski GHAIR SHAMIYO’N se RIWAYAT NA QABIL UT TIFAAQ hai

 

[[ BADRUL MUNEER JILD 4 SAFA 543 ]]

 

SCAN

photogrid_1471458702210

 

Aur is SANAD me ISMA’EEL BIN AIYAASH GHAIR SHAMIYO’N se RIWAYAT kar raha hai,SABIT hut ki AIMMAH E HADEES aur ULAMA E SUNNAT ke NAZDEEK ye RIWAYAT ZA’EEF hai

 

ALLAMAH SEN’ANI RH (MUTAWAFFA 1162 H) farmate hain

 

وَيَتَحَصَّلُ مِنْ كَلَامِ أَئِمَّةِ التَّحْقِيقِ أَنَّهُ حَدِيثٌ ضَعِيفٌ

 

Ki MUHAQQIQEEN E AIMMAH E DEEN ke KALAAM se ye baat SABIT hoti hai ki ye HADEES ZA’EEF hai

 

[[ SUBUL US SALAAM JILD 2 SAFA 326 ]]

 

SCAN

photogrid_1472203481012

 

TAMBIYAH=> Is RIWAYAT ko ZA’EEF QARAR dene ke baad IMAM NAWWI RH (MUTAWAFFA 676 H) farmate hain

 

وَقَدْ اتَّفَقَ عُلَمَاءُ الْمُحَدِّثِينَ وَغَيْرُهُمْ عَلَى الْمُسَامَحَةِ فِي أَحَادِيثِ الْفَضَائِلِ وَالتَّرْغِيبِ وَالتَّرْهِيبِ

 

Ki MUHADDISEEN E KARAM aur deegar AHLE ILM ka FAZAIL aur TARGHEEB wa TARHEEB par MABNI AHADEES ke baare me NARMI BARATNE par ITTEFAQ hai

 

[[ AL MAJMOO’A JILD 5 SAFA 274 ]]

 

SCAN

photogrid_1472204540751

 

Hafiz NAWWI RH ke JAWAB me MASH’HOOR AHLE HADEES ALIM,JANAB ALLAMAH NASIR UD DEEN ALBANI RH (MUTAWAFFA 1420 H) farmate hain

 

ولا يرد هنا ما اشتهر من القول بالعمل بالحديث الضعيف في فضائل الأعمال، فإن هذا محله فيما ثبت مشروعيته بالكتاب أو السنة الصحيحة، أما ما ليس كذلك فلا يجوز العمل فيه بالحديث الضعيف، لأنه تشريع ولا يجوز ذلك بالحديث الضعيف، لأنه لا يفيد إلا الظن المرجوح اتفاقا فكيف يجوز العمل بمثله؟

 

Ki FAZAIL E A’MAAL me ZA’EEF HADEES par AMAL karne ke baare me jo baat MASH’HOOR hai,Uska ITLAAQ yaha’n nahi ho sakta.Uska ITLAAQ to un A’MAAL par hota hai jiski MASHROO’IYAT QURAN E KAREEM aur SAHEEH AHADEES se SABIT hai,Jo AMAL KITAB O SUNNAT se SABIT na ho,Us baare me ZA’EEF HADEES par AMAL JAIZ nahi,Q ki ye (SAWAB ke liye AMAL karna) SHARIYAT hai aur SHARIYAT ZA’EEF HADEES se SABIT nahi hoti,ZA’EEF HADEES BIL ITTEFAQ MARJOOH ZANN ka FAIDAH deti hai,aisi KAMZOR DALEEL par AMAL karna Q kar JAIZ hua?

 

[[ SILSILATUL AHADEES UZ ZA’EEFAH JILD 2 SAFA 65 ]]

 

SCAN

photogrid_1472205992382

 

SHAIKH UL ISLAM IMAM IBN TAIMIYAH RH farmate hain

 

ولم يقل أحد من الأئمة أنه يجوز أن يجعل الشيء واجباً أو مستحباً بحديث ضعيف ، ومن قال هذا فقد خالف الإجماع

 

Ki AIMMAH E DEEN me se kisi ne ye nahi kaha ki ZA’EEF HADEES ki BUNIYAD par kisi AMAL ko WAJIB ya MUSTAHAB kehna JAIZ hai,Jo SHAKS aisa DA’WA karta hai wo IJMA E UMMAT ka MUKHALIF hai

 

[[ MAJMOO’A AL FATAWA JILD 1 SAFA 251 ]]

 

SCAN

photogrid_1472207309146

 

Baaz AHLE ILM ka KHYAL hai ki is ZA’EEF HADEES ke kayi SHAWAHID bhi hain,hum wo SHAWAHID bhi QARAIN E KARAAM ke samne pesh kar rahe hain MULAHIZA ho’n

 

ALIF=> وَأخرج ابْن مَنْدَه عَن أبي أُمَامَة رَضِي الله عَنهُ قَالَ: إِذا مت فدفنتموني فَليقمْ إِنْسَان عِنْد رَأْسِي فَلْيقل: ياصدي بن عجلَان اذكر مَا كنت عَلَيْهِ فِي الدُّنْيَا شَهَادَة أَن لَا إِلَه إِلَّا الله وَأَن مُحَمَّدًا رَسُول الله

 

SAYYADNA ABU UMAMAH RAZIALLAHU ANHU se MARWI hai unhone farmaya jab mai FAUT ho jaoo’n aur tum mujhe DAFAN kar chuko to ek INSAN mere SAR ke paas khade ho kar kahe AYE SADI BIN AJLAAN (SAYYADNA ABU UMAMAH RAZIALLAHU ANHU KA NAAM) us AQEEDE ko YAAD kar jis par tu ZINDAGI me QAYEM tha,Ya’ni TAUHEED E ILAHI wa RISALAT E MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka IQRAR

 

[[ DURAR UL MANSOOR JILD 5 SAFA 39 ]]

 

TABSERAH=>YE ASAR BE SANAD HONE KI WAJAH SE BATIL HAI,DEEN KI BUNIYAD SANAD PAR HAI

 

BE=> MAZKOORAH BALA MARFOO’A RIWAYAT ki ek doosri SANAD bhi hai

 

علي بن حجر، ثنا حماد بن عمرو، عن عبد الله بن محمد القرشي، عن يحيى بن أبي كثير عن سعيد الأودي قال……..

 

[[ MUNTAQA MIN MASMOO’AAT SAFA 17 ZIKR UL MAUT LA IBN SHAHEEN,NAQLAN AN AL MAQASID UL HASANAH SAFA 265 ]]

 

TABSERAH=> YE SAFED JHOOT hai is SANAD ko GADHNE wala HAMMAD BIN UMRO NASEEBI hai

 

Iske baare me IMAM YAHYA BIN MU’EEN RH farmate hain

 

مِمَّنْ يَكْذِبُ وَيَضَعُ الْحَدِيثَ

Ki ye KAZZAB aur HADEES GADHNE wala RAAWI hai

 

[[ AL KAMIL JILD 3 SAFA 10 ]]

 

SCAN

photogrid_1472230661855

 

IMAM IBN SHAHEEN RH HAMMAD BIN UMRO NASEEBI ke baare me farmate hain

 

لم يكن بثقة قد رأيته

 

Ki ye SIQAA nahi tha,mai ne ise DEKHA hua hai

 

[[ TAREEKH ASMA UZ ZUAFA WAL KAZZABEEN SAFA 74 ]]

 

SCAN

photogrid_1472231449028

 

IMAM IBN HIBBAN RH farmate hain

 

يضع الْحَدِيث وضعا عَلَى الثِّقَات

 

Ki ye RIWAYAT khud GADH kar SIQAA RAAWIYO’N ke ZIMME THOP deta tha

 

[[ AL MAJROOHEEN JILD 1 SAFA 307 ]]

 

SCAN

photogrid_1472232636658

 

IMAM BUKHARI RH farmate hain

 

مُنكر الحَدِيث ضعفه عَليّ بن حجر

 

Ki ye MUNKAR UL HADEES RAAWI hai,Ise ALI BIN HUJUR ne ZA’EEF QARAR diya hai

 

[[ TAREEKH US SAGEER JILD 2 SAFA 265 WA TAREEKH UL KABEER JILD 3 SAFA 28 ]]

 

SCAN

photogrid_1472233366879

 

IMAM HAKIM RH farmate hain

 

يرْوى عَن جمَاعَة من الثِّقَات أَحَادِيث مَوْضُوعَة سَاقِطَة

 

Ki ye KAYI SIQAA RAAWIYO’N se MANSOOB kar ke MANGHADAT aur ZA’EEF RIWAYAAT BAYAN karta hai

 

[[ AL MUDKHAL ILAS SAHEEH SAFA 15 ]]

 

SCAN

photogrid_1472234104643

 

IMAM IBN ADEE RH farmate hain

 

قد عده السلف فيمن يضع الحديث.

 

Ki ise SALAF SALIHEEN ne HADEES GADHNE walo’n Me SHUMAR kiya hai

 

[[ ALKAMIL JILD 5 SAFA 396 ]]

 

SCAN

photogrid_1472234732846

 

Ma’loom hua ki ye RAAWI BA ITTEFAQ E MUHADDISEEN KAZZAB aur WAZZA’A hai lehaza ye SANAD JHOOTI hai

 

IMAM MUSLIM RH (MUTAWAFFA 261 H) farmate hain

 

فَأَمَّا مَا كَانَ مِنْهَا عَنْ قَوْمٍ هُمْ عِنْدَ أَهْلِ الْحَدِيثِ مُتَّهَمُونَ، أَوْ عِنْدَ الْأَكْثَرِ مِنْهُمْ، فَلَسْنَا نَتَشَاغَلُ بِتَخْرِيجِ حَدِيثِهِمْ،

 

Ki jin RAAWIYO’N par TAMAM MUHADDISEEN E KARAM ke han ya AKSAR ke han HADEES GADHNE ka ILZAM ho,hum unki HADEES BAYAN karne me MASHGOOL nahi hote

 

[[ MUQADDAMAH SAHEEH MUSLIM SAFA 7 ]]

 

SCAN

photogrid_1472319459462

 

Is RIWAYAT me ABDULLAH BIN MUHAMMAD QURASHEE RAAWI GHAIR MA’ROOF RAAWI hai,Nez YAHYA BIN ABU KASEER MUDALLIS HAI (OOPAR MULAHIZA KARE’N),SAM’A ki TASREEH nahi ki,phir SA’EED AZDEE ya SAEED AUDEE bhi MAJ’HOOL hai

 

Is RIWAYAT ka ek SHAHID ye bhi hai jisko QAZI KHIL’EE ne NAQAL kiya hai

 

أَخْبَرَنَا أبو مُحَمَّد إسماعيل بن رجاء [٢٢٢/أ] بن سعيد بن عبيد الله العسقلاني، قال: أَخْبَرَنَا أبو بكر مُحَمَّد بن أَحْمَد الجندري، قال: حَدَّثَنَا أبو مُحَمَّد عبد الله بن أبان بن شداد، قال:حَدَّثَنَا أبو الدرداء هاشم بن مُحَمَّد الأنصاري، قال: حَدَّثَنَا عتبة بن السكن عن أبي زكريا عن جابر عن سعيد الأودي، قال: دخلت على أبي أمامة الباهلي وهو في النزع فقال لي يا سعيد إذا أنا مت فاصنعوا بي كما أمرنا رسول الله صلى الله عليه وسلم أن نصنع بموتانا، فإنه قال: إذا مات الرجلُ منكم فدفنتموه فليقُمْ أحدُكم عند رأسِهِ فليقلْ يا فلان ابن فلانة فإنه سيسمعُ فليقلْ يا فلان ابن فلانة فإنه سيستوى قاعدًا، فليقلْ يا فلان ابن فلانة فإنه سيقولُ أرشدني رحمك اللَّهُ فيقول: اذكرْ ما خرجتَ عليه من دارالدنيا شهادةُ أن لا إلهَ إلا اللَّهُ وحده لاشريك له وأن مُحَمَّدا عبدُه ورسولُه وأنَّ الساعةَ آتيةٌ لا ريبَ فيها وأنَّ اللهَ يبعثُ من في القبورِ فإنَّ مُنْكرا ونكيرا يأخذُ كلُّ واحدٍ منهما بيدِ صاحبِهِ ويقول له: ما نصنعُ عند رجلٍ قد لُقِّن حُجَّتُه فيكون اللَّهُ حجيجَهما دُونَه.

 

[[ FAWAID UL MUNTAQAT UL HISANAN US SIHAAH WAL GHARAIB JILD 2 SAFA 323 ]]

 

Iski SANAD bhi MAUZOO’A (MANGHADAT) hai

 

MUHADDIS ALBANI RH iske baare me farmate hain

 

هذا إسناد ضعيف جدا، لم أعرف أحد منهم غير عتبة بن السكن، قال الدارقطني: ” متروك الحديث ” وقال البيهقي: ” واه منسوب إلى الوضع

 

Ki ye HADEES ZA’EEF hai,mai UTBAH BIN SAKAN ke ALAWAH iske RAAWIYO’N me se kisi ko bhi PAHCHAN nahi paya aur UTBAH ke bare me IMAM DAARQUTNI RH farmate hain ki wo MATROOK UL HADEES hai aur IMAM BAIHAQEE RH farmate hain ye ZA’EEF RAAWI hai aur ispar HADEESE’N GADHNE ka ILZAM hai

 

[[ SILSILATUL AHADEES UZ ZA’EEFA JILD 2 SAFA 64 ]]

 

SCAN

photogrid_1472321034871

 

UTBAH BIN SAKAN SAKHT MAJROOH RAAWI hai iske baare me IMAMIBN HIBBAN RH farmate hain

 

يخطىء وَيُخَالف

 

Ki ye GHALATIYA’N karta hai aur SIQAA RAAWIYO’N ki MUKHALIFAT karta hai

 

[[ KITAB US SIQAAT JILD 8 SAFA 508 ]]

 

SCAN

photogrid_1472321764966

 

IMAM IBN JAUZI RH farmate hain

 

قَالَ الدَّارَقُطْنِيّ مُنكر الحَدِيث مَتْرُوك الحَدِيث

 

Ki IMAM DAARQUTNI RH ne ise MUNKARUL HADEES aur MATROOK UL HADEES QARAR diya hai

 

[[ AZ ZU’AFA WAL MATROOKEEN LA IBN JAUZI JILD 2 SAFA 166 ]]

 

SCAN

photogrid_1472322434394

 

HAFIZ BAZZAR RH farmate hain

 

قَدْ رَوَى عَن الأَوْزاعِيّ أَحَادِيثَ لَمْ يُتَابَعْ عَلَيْهَا

 

Ki isne IMAM AUZAA’EE RH ki taraf MANSOOB kar ke MUNKAR RIWAYAAT BAYAN ki hain

 

[[ MUSNAD AL BAZZAR JILD 2 SAFA 103 ]]

 

SCAN

photogrid_1472323058113

 

IMAM HAISMEE RH farmate hain

 

وهو متروك

 

Ki ye MATROOK RAWI hai

 

[[ MAJMA UZ ZAWAID JILD 3 SAFA 202 ]]

 

SCAN

photogrid_1472323466591

 

Is SANAD ke DEEGAR RAAWIYO’N ki TAUSEEQ bhi nahi mili LEHAZA ye SANAD bilkul BAATIL hai

 

JEEM=> وَعَنْ ضَمْرَةَ بْنِ حَبِيبٍ أَحَدِ التَّابِعِينَ قَالَ: كَانُوا يَسْتَحِبُّونَ إِذَا سُوِّيَ عَلَى الْمَيِّتِ قَبْرُهُ, وَانْصَرَفَ النَّاسُ عَنْهُ, أَنْ يُقَالَ عِنْدَ قَبْرِهِ: يَا فُلَانُ! قُلْ: لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ. ثَلَاثُ مَرَّاتٍ, يَا فُلَانُ! قُلْ: رَبِّيَ اللَّهُ, وَدِينِيَ الْإِسْلَامُ, وَنَبِيِّ مُحَمَّدٌ – صلى الله عليه وسلم

 

EK TABI’EE ZUMRAH BIN HABEEB kehte hain ki jab MAYYAT par QABR ko barabar kar diya jata aur log WAAPAS chale jaate to wo uski QABR ke paas ye kehna MUSTAHAB samajhte the : AYE FALAA’N ! Tu LA ILAAHA ILLALLAH keh (TEEN MARTABA),Tu keh ki MERA RABB ALLAH hai aur mera DEEN ISLAM hai aur mere NABI MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hain

 

[[ SUNAN SA’EED BIN MANSOOR, NAQLAN AN BULOOGH UL MARAAM MIN ADILLATIL AHKAM SAFA 166 ]]

 

TABSERAH==> ISKI SANAD ZA’EEF hai،isme “ASHYAAKH BIN AHLE HIMS” MAJ’HOOL WA NA MA’LOOM hain lehaza ye NAQABIL E HUJJAT aur NAQABIL E AMAL hai

 

DAAL=> حَدَّثَنَا عَبْدَانُ بْنُ أَحْمَدَ، ثنا حُمَيْدُ بْنُ مَسْعَدَةَ، ح وَحَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ خَالِدٍ الرَّاسِبِيُّ، ثنا مُحَمَّدُ بْنُ عُبَيْدِ بْنِ حِسَابٍ، قَالَا: ثنا مُحَمَّدُ بْنُ حُمْرَانَ، عَنْ عَطِيَّةَ الرَّعَّاءِ، عَنِ الْحَكَمِ بْنِ الْحَارِثِ السُّلَمِيِّ أَنَّهُ غَزَا مَعَ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ثَلَاثَ غَزَوَاتٍ، قَالَ: قَالَ لَنَا: «إِذَا دَفَنْتُمُونِي ورَشَشْتُمْ عَلَى قَبْرِي الْمَاءَ، فَقُومُوا عَلَى قَبْرِي وَاسْتَقْبِلُوا الْقِبْلَةَ وَادْعُوا لِي»

 

HAKAM BIN HARIS SULAMEE ne kaha jab tum mujhe DAFAN kar do aur meri QABR par PAANI CHIDAK do to meri QABR par khade ho kar QIBLE ki taraf RUKH karo aur mere liye DUAA karo

 

[[ MU’JAM UL KABEER LIT TABRANI JILD 3 SAFA 215 ]]

 

TABSERAH=> ISKI SANAD ZA’EEF hai

 

HAFIZ HAISMEE RH farmate hain

 

عَطِيَّةُ الدَّعَّاءُ، وَلَمْ أَعْرِفْهُ.

 

Ki ATIYATUT DA’AA ko mai nahi PEHCHANTA

 

[[ MAJMA UZ ZAWAID JILD 3 SAFA 44 ]]

 

SCAN

photogrid_1472927510434

 

DOOSRI BAAT ye hai ki iska MURAWWIJA TALQEEN se kya TA’ALLUQ hai ? QABR par khade ho kar DUAA karna to JAIZ hai. Magar HAIRANI wali baat to ye hai ki IMAM IBN HAJAR RH ne ise HADEES ABU UMAMAH RAZIALLAHU ANHU ka SHAHID banaya hai

 

WAAO=> حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَمَّارٍ قَالَ: حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْكَلْبِيُّ قَالَ: حَدَّثَنَا إِدْرِيسُ الْأَوْدِيُّ، عَنْ سَعِيدِ بْنِ الْمُسَيِّبِ، قَالَ: حَضَرْتُ ابْنَ عُمَرَ فِي جِنَازَةٍ، فَلَمَّا وَضَعَهَا فِي اللَّحْدِ، قَالَ: «بِسْمِ اللَّهِ، وَفِي سَبِيلِ اللَّهِ، وَعَلَى مِلَّةِ رَسُولِ اللَّهِ»

 

IMAM SA’EED BIN MUSAYYAB TABI’EE RH kehte hain ki mai SAYYADNA UMAR RAZIALLAHU ANHU ke sath ek JANAZAH me HAAZIR hua jab unhone MAYYAT ko LAH’D me RAKHA to farmaya ALLAH ke NAAM se aur RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ke TAREEQA par

 

[[ SUNAN IBN MAJAH JILD 1 SAFA 495 HADEES 1553,MU’JAM UL KABEER JILD 12 SAFA 274 HADEES 13094,SUNAN AL KUBRA LIL BAIHAQEE JILD 4 SAFA 55 ]]

 

TABSERAH=>YE RIWAYAT SAKHT TAREEN ZA’EEF HAI

 

ISKA RAAWI HAMMAD BIN ABDURRAHMAN KALBEE ZA’EEF HAI

 

HAFIZ IBN HAJAR RH ne isko ZA’EEF QARAR diya hai

 

[[ TAQREEB UT TAHZEEB SAFA 269 ]]

 

SCAN

photogrid_1472930620017

 

IMAM BUSEERI RH (MUTAWAFFA 840 H) farmate hain

 

هَذَا إِسْنَاد فِيهِ حَمَّاد بن عبد الرَّحْمَن وَهُوَ مُتَّفق على تَضْعِيفه

 

Ki is SANAD me HAMMAD BIN ABDURRAHMAN RAAWI MAUJOOD hai jisko ZA’EEF QARAR dene par TAMAM MUHADDISEEN MUTTAFIQ hain

 

[[ MISBAH UZ ZAJAJAH FI ZAWAID IBN MAJAH JILD 2 SAFA 148 ]]

 

SCAN

photogrid_1472931029405

 

IDREES BIN SABEEH AUDEE RAWI MAJHOOL HAI

 

IMAM ABU HATIM AR RAZI RH ne ise MAJHOOL QARAR diya hai

 

[[ AL JARAH WA TA’DEEL JILD 2 SAFA 264 ]]

 

SCAN

photogrid_1472931424216

 

IMAM IBN HIBBAN RH farmate hain

 

يغرب ويخطئ على قلته

 

Ki bahut kam RIWAYAAT bayan karne ke bawajood uski RIWAYAAT me NAKAARAT aur GHALATIYA’N maujood hain

 

[[ AS SIQAAT JILD 1 SAFA 78 ]]

 

SCAN

photogrid_1472931860245

 

IMAM IBN ADEE RH ne ise ADREES BIN YAZEED AUDEE QARAR diya hai

 

IMAM IBN HAJAR RH farmate hain

 

وقول ابن عدى اصوب

 

Ki IMAM IBN ADEE RH ka QAUL hi ZYADAH SAAYEB hai

 

[[ TAHZEEB UT TAHZEEB JILD 1 SAFA 171 DOOSRA NUSKHA JILD 1 SAFA 195 ]]

 

Ye baat BE DALEEL hone ki WAJAH se drust nahi

 

Is ZA’EEF RIWAYAT ka MURAWWIJAH BID’ATI TALQEEN se DOOR ka bhi TA’ALLUQ nahi.MA’LOOM hua SHAWAHID ki RATT lagane walo’n ka DAAMAN bilkul KHAALI hai

 

FAIDAH NO. 1=> IMAM HALBEE RH IMAM SUBKEE RH se NAQAL karte hain

 

حديث تلقين النبي صلى الله عليه وسلم لابنه ليس له أصل أي صحيح أو حسن

 

Ki NABI AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke apne BETE ko TALQEEN karne wali RIWAYAT ki koi SAHEEH ya HASAN SANAD MAUJOOD nahi

 

[[ SEERAT UL HALBIYAH JILD 3 SAFA 437 ]]

 

LINK>> http://shamela.ws/browse.php/book-9873/page-2#page-1480

 

FAIDAH NO. 2=> IMAM IBN QAYYIM RH (MUTAWAFFA 851 H) farmate hain

 

فَهَذَا الحَدِيث وَإِن لم يثبت فإتصال الْعَمَل بِهِ فِي سَائِر الْأَمْصَار والأعصار من غير انكار كَاف فِي الْعَمَل بِهِ

 

Ki ye HADEES agarcha SAHEEH SABIT nahi lekin TAMAM ILAAQO’N me har ZAMANE me is par BEGHAIR INKAAR ke AMAL hota raha hai,yahi baat is par AMAL ke JAIZ hone ke liye KAAFI hai

 

[[ KITAB UR ROOH SAFA 60 ]]

 

SCAN

photogrid_1472935188703

 

KITAB UR ROOH ke MUTA’ALLIQ ALLAMAH ALBANI RH farmate hain

 

فإني في شك كبير من صحة نسبة ” الروح ” إليه أو لعله ألفه في أول طلبه للعلم. والله أعلم

 

Ki mai KITAB UR ROOH ki ALLAMAH IBN QAYYIM RH ki taraf NISBAT ke HAWALE se KAAFI SHAK O SHUBHA me MUBTILA hu’n.(YA TO YE UNKI TASNEEF HI NAHI) ya phir unhone apne TALAB E ILM ke AWAA’EL me ise TALEEF kiya tha.WALLAHU A’ALAM!

 

[[ TAHQQEQ AAYAAT UL BAYYINAAT SAFA 60 ]]

 

SCAN

photogrid_1472935620356

 

Ho sakta hai ye IBARAT ALHAAQI ho,Ya’ni kisi NASIKH ki GHALATI se DARJ ho gayi ho,q ki IMAM IBN QAYYIM RH khud SEERAT E NABWI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM BAYAN karte hue farmate hain

 

وَلَمْ يَكُنْ يَجْلِسُ يَقْرَأُ عِنْدَ الْقَبْرِ، وَلَا يُلَقِّنُ الْمَيِّتَ كَمَا يَفْعَلُهُ النَّاسُ الْيَوْمَ،

 

Ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM QABR ke paas QIR’AT karne nahi baithte the,na hi (QABR par) MAYYAT ko TALQEEN karte the,jaisa ki MAUJOODAH ZAMANE me log karte hain

 

[[ ZAAD UL MA’AAD JILD 1 SAFA 503 ]]

 

SCAN

PhotoGrid_1452161654955

 

TALQEEN AL MAYYAT ko SABIT karne ke liye SUNAN IBN MAJAH se ye HADEES bhi PESH ki jati hai

 

حدثنا محمد بن بشار قال: حدثنا أبو عامر قال: حدثنا كثير بن زيد، عن إسحاق بن عبد الله بن جعفر، عن أبيه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ” لقنوا موتاكم: لا إله إلا الله الحليم الكريم، سبحان الله رب العرش العظيم، الحمد لله رب العالمين ” قالوا: يا رسول الله كيف للأحياء؟ قال: «أجود، وأجود»

 

Ki HAZRAT ABDULLAH BIN JA’FAR RAZIALLAHU ANHU se RIWAYAT hai RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya : apne marne walo’n ko in ALFAAZ ki TALQEEN karo ” “: لا إله إلا الله الحليم الكريم، سبحان الله رب العرش العظيم، الحمد لله رب العالمين” ALLAH ke SIWA ko MA’BOOD nahi jo HALEEM WA KAREEM hai,PAAK hai ALLAH jo ARSH E AZEEM ka MALIK hai,SAB TA’REEFE’N ALLAH ke liye hai jo TAMAM JAHANO’N ka PAALNE waala hai ” SAHABA RAZIALLAHU ANHUM ne ARZ kiya : aye ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ! ZINDO’N ke liye ye ZIKR kaisa hai ? Farmaya:ZYADAH ACHCHA ZYADAH UMDAH

 

[[ SUNAN IBN MAJAH JILD 2 SAFA 428 ]]

 

TABSERAH=> YE RIWAYAT ZA’EEF hai isme do ILLATE’N hain

 

1=> IS’HAAQ BIN ABDULLAH BIN JA’FAR MAJ’HOOL hai kisi ek bhi IMAM ne iski TAUSEEQ nahi ki hai

 

2=> KASEER BIN ZAID bhi ZA’EEF hai

 

IMAM ALI BIN MADEENI RH (MUTAWAFFA 234 H) farmate hain

 

صَالح وَلَيْسَ بِالْقَوِيّ

 

Ki NEK WA SAALEH tha magar QAWEE nahi tha

 

[[ SU’ALAT IBN ABI SHAIBAH LAIBN MADEENI SAFA 5 SHAMELA SAFA 95 ]]

 

SCAN

photogrid_1476555836463

 

IMAM ABU ZUR’AH AR RAZI RH (MUTAWAFFA 264 H) farmate hain

 

هو صدوق فيه لين

 

Ki wo SACHCHA tha lekin HADEES me KAMZOR tha

 

[[ AL JARAH WA TA’DEEL JILD 7 SAFA 151 WA SANAD SAHEEH ]]

 

SCAN

photogrid_1476556137891

 

IMAM ABU HATIM AR RAZI RH (MUTAWAFFA 277 H) farmate hain

 

صالح ليس بالقوى

 

Ki NEK WA SALEH tha magar QAWEE nahi tha

 

[[ AL JARAH WA TA’DEEL JILD 7 SAFA 151 ]]

 

SCAN

photogrid_1476556499216

 

IMAM NISAEE RH (MUTAWAFFA 303 H) farmate hain

 

كثير بن زيد ضَعِيف

 

Ki KASEER BIN ZAID ZA’EEF hai

 

[[ KITABUZ ZU’AFA WA AL MATROOKEEN SAFA 206 ]]

 

SCAN

photogrid_1476556781324

 

IMAM IBN MU’EEN RH (MUTAWAFFA 327 H) farmate hain

 

ليس بذاك القوى

 

Ki ye QAWEE nahi tha

 

[[ AL JARAH WA TA’DEEL JILD 7 SAFA 151 WA SANAD SAHEEH ]]

 

SCAN

photogrid_1476557128734

 

NEZ farmate hain

 

ليس بشيء

 

Ki ye kuch bhi nahi tha

 

[[ TAREEKH IBN ABI KHAISAMAH JILD 2 SAFA 336 ]]

 

SCAN

photogrid_1476557379827

 

IMAM IBN JAUZI RH (MUTAWAFFA 597 H) ne KASEER BIN ZAID KO ZU’AFA me NAQAL kiya hai

 

[[ AZ ZU’AFA WA AL MATROOKEEN LAIBN JAUZI JILD 3 SAFA 22 ]]

 

SCAN

photogrid_1476557589215

 

IMAM ZAHBI RH (MUTAWAFFA 848 H) farmate hain

 

كُثَيْرُ بْنُ زَيْدٍ صُوَيْلِحُ فِيهِ لِينٌ

 

Ki KASEER BIN ZAID SAALEH hai magar us me kuch KAMZORI hai

 

[[ MU’JAM USHSHYOOKH JILD 1 SAFA 300 ]]

 

SCAN

photogrid_1476557921938

 

IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH (MUTAWAFFA 852 H) farmate hain

 

وَكثير بن زيد مُخْتَلف فِيهِ

 

Ki aur KASEER BIN ZAID MUKHTALIF FEEH RAWI hai

 

[[ TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 3 SAFA 249 ]]

 

SCAN

photogrid_1476558266885

 

SHAIKH ZUBAIR ALI ZAI RH ne bhi is HADEES ko ZA’EEF kaha hai

 

[[ HASHIYAH SUNAN IBN MAJAH JILD 2 SAFA 428 ]]

 

SCAN

photogrid_1476558681232

 

Agar kisi ZA’EEF RIWAYAT ke HUKM par ba’az log AMAL kare’n to wo SAHEEH nahi ho jati hai,logo’n ke AMAL se SANAD ka SAHEEH hona MUHADDISEEN E KARAAM ka MAZHAB nahi.Agar kisi RIWAYAT ke HUKM par,YA’NI usse MAKHOOZ MASLA par IJMA E UMMAT SABIT ho jaye tb bhi wo SANAD ZA’EEF hi rahegi,ALBATTA wo MASLA IJMA E UMMAT ki WAJAH se SHARAYI DARJAH HAASIL kar lega.HADEES ABU UMAMAH RAZIALLAHU ANHU par agar ba’az logo’n ne AMAL kiya hai to unke AMAL se use kuch TAQWIYAT nahi milegi,is par MUSTAZAAD ye ki bahut se AHLE ILM ne ise ZA’EEF wa GHAIR SABIT QARAR diya hai aur TALQEEN AL MAYYAT ko BID’AT QARAR diya hai

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

Standard