MEELAD

MEELAD AUR IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELA KA RADD IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH se

 

IMAM SUYUTI RH farmate hai

 

” سئل شيخ الإسلام حافظ العصر أبو الفضل ابن حجر عن عمل المولد، فأجاب بما نصه : أصل عمل المولد بدعة ، لم تنقل عن أحد من السلف الصالح من القرون الثلاثة

 

Ki SHAIKH UL ISLAM HAFIZ UL ASAR ABUL FAZL IBN HAJAR se EID MEELAD manane ke MUTA’ALLIQ poocha gaya to unhone ye farmaya : EID MEELAD MANANA BUNIYADI TAUR par BID’AT hai , IBTEDAYI TEEN SADIYO’N me SALAF SALIHEEN me se kisi se bhi MEELAD MANANA MANQOOL nahi hai .

 

[[ AL HAWI LIL FATAWEE JILD 1 SAFA 196 ]]

 

SCAN

 

UPLOADED BY =>AMIR ADNAN

Standard
MEELAD

WILADAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAR SHAITAAN KA RONA,EK TAHQEEQI JAIZAH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

WILAADAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAR SHAITAAN KA RONA : EK TAHQEEQI JAIZAH

 

IMAM IBN KASEER RH likhte hain

 

حكى السهيلي عن تفسير بقي بن مخلد الحافظ أن إبليس رن أربع رنات حين لعن وحين أهبط وحين ولد رسول الله صلى الله عليه و سلم وحين أنزلت الفاتحة

 

Ki SUHAILI ne apni TAFSEER me jo RIWAYAT NAQAL ki hai BAQEE BIN MUKHLAD se ki IBLEES 4 baar CHILLA kar ROYAA, jab us par LA’ANAT ki gayi,jabb use NIKAALA gaya,jab RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki WILAADAT hui,aur jab SURAH FATIHA NAAZIL hui

 

[[ ALBIDAYAH WAN NIHAYAH JILD 3 SAFA 391 ]]

 

SCAN

PhotoGrid_1450205556900

 


Continue reading

Standard
MEELAD

MEELAD AUR IMAM ABU ABDULLAH MUHAMMAD AL HAFFAAR RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELAD AUR IMAM ABU ABDULLAH MUHAMMAD AL HAFFAR RH

 

IMAM ABU ABDULLAH MUHAMMAD AL HAFFAR RH farmate hain

 

وليلة المولد لم يكن السلف الصالح وهم أصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم والتابعون لهم يجتمعون فيها للعبادة،ولا يفعلون فيها زيادة على سائر ليالي السنة،لأن النبي صلى الله عليه وسلم لا يعظم إلى بالوجه الذي شرع فيه تعظيمه….والخير في الاتباع السلف الذين اختارهم الله له،فما فعلوا فعلناه وما تركوا تركناه

 

Ki SALAF me is MEELAD ka koi WAJOOD na tha aur wo SAHABA aur TABI’EEN AAM RAATO’N ki tarah is me bhi IBADAT karte is me kuch ZYADAH AMAL na karte q ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki TA’ZEEM sirf isi TAREEQA se ki ja sakti hai jo AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne MASHROO’A kiya hai…..har KHAIR SALAF ki PAIRWI me hai jin ko ALLAH ne CHUN liya hai jo AMAL unhone kiya hum ne kiya aur jis AMAL ko unhone TARK kiya hum ne bhi TARK kar diya

 

[[ AL ME’YAAR UL MU’RAB JILD 7 SAFA 99,100 ]]

 

SCAN

12414201_1484258221882523_1723827901_o

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
MEELAD

MEELAD AUR ABDULLAH IBN UMAR RAZIALLAHU ANHU

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELAD AUR ABDULLAH IBN UMAR RAZIALLAHU ANHU

 

HAZRAT ABDULLAH IBN UMAR RAZIALLAHU ANNHU farmate hain

 

: «كُلُّ بِدْعَةٍ ضَلَالَةٌ وَإِنْ رَآهَا النَّاسُ حَسَنًا»

 

Ki har BID’AT GUMRAHI hai agar cha log use BID’AT E HASNA samjhe’n

 

[[ AL SUNNAH LIL MARAUZI SAFA 94 ]]

 

SCAN

PhotoGrid_1450462950966

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNEKI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

Standard
MEELAD

MEELAD AUR IMAM SIKANDARI TAJ UD DEEN AL FAKIHAANI RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELAD AUR IMAM SIKANDARI TAJ UD DEEN AL FAKIHAANI RH

 

IMAM TAAJ UD DEEN AL FAKIHAANI RH (734 h) farmate hain

 

لا أعلم لهذا المولد أصلا في كتاب ولا سنة، ولا ينقل عمله عن أحد من علماء الأمة، الذين هم القدوة في الدين، المتمسكون بآثار المتقدمين؛ بل هو بدعة أحدثها البطالون، وشهوة نفس اغتنى بها الأكالون، بدليل أنا إذا أدرنا

 

Ki MAHFIL E MEELAD ki DALEEL KITAB O SUNNAT me se koi nahi janta,aur ULAMA E UMMAT jo MUTAQADDAMEEN ke AASAR ki ITTIBA’A karne waale aur DEEN ke PESHWA hain,unse bhi ye AMAL MAQBOOL nahi hai,YE TO BID’AT HAI,jise JHOOTO’N aur MAKKARO’N ne AIJAAD kiya hai,ise MAHEZ NAFS PARASTI ke NATEEJA me log BAJAA laate hain aur iska AHTEMAAM logo’n ka MAAL LOOTNE waale karte hain

 

[[ AL MAURID FI AMAL UL MAULID SAFA 8,9 ]]

 

SCAN

12380555_1224916814189929_463092100_n

 

ALLAAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
MEELAD

MEELAD AUR IMAM IBN RAJAB RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELAD AUR IMAM IBN RAJAB RH

 

IMAM IBN RAJAB RH ek HADEES NAQAL karte hue farmate hain

 

قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: “لا تتخذوا شهرا عيدا ولا يوما عيدا” وأصل هذا: أنه لا يشرع أن يتخذ المسلمون عيدا إلا ما جاءت الشريعة باتخاذه عيدا وهو يوم الفطر ويوم الأضحى وأيام التشريق وهي أعياد العام ويوم الجمعة وهو عيد الأسبوع وما عدا ذلك فاتخاذه عيدا وموسما بدعة لا أصل له في الشريعة.

 

Ki “NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya ya’ni kisi MAHINE ko AZ khud EID QARAR na do aur na hi kisi DIN ko YAUM E EID QARAR do ” MUSALMANO ke liye JAAYEZ hi nahi ki wo BINA SHARIYAT ke BAYAN kare kisi DIN ko EID QARAR de’n aur SHARIYAT ki BAYAN KARDAH

EIDE’N SALANA ye hain.YAUM UL FITR,YAUM UL AZHA,AIYAAM UT TASHREEQ jabki HAFTA WAARI EID YAUM UL JUM’AH hai aur iske ALAWAH kisi aur DIN ko EID QARAR dena BID’AT hai aur SHARIYAT me iski koi ASAL MAUJOOD nahi

 

[[ LATAAIF UL MA’AARIF SAFA 228 ]]

 

SCAN

12380873_1502606560042227_1865598854_o

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
MEELAD

MEELAD AUR IMAM IBN TAIMIYAH PART 2

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELAD AUR IMAM IBN TAIMIYAH RH PART 2

 

IMAM IBN TAIMIYAH RH farmate hain

 

وإنما العيد شريعة، فما شرعه الله اتبع. وإلا لم يحدث في الدين ما ليس منه.

وكذلك ما يحدثه بعض الناس، إما مضاهاة للنصارى في ميلاد عيسى عليه السلام، وإما محبة للنبي صلى الله عليه وسلم، وتعظيمًا. والله قد يثيبهم (4) على هذه المحبة والاجتهاد، لا على البدع- من اتخاذ مولد النبي صلى الله عليه وسلم عيدًا. مع اختلاف الناس في مولده. فإن هذا لم يفعله السلف، مع قيام المقتضي له وعدم المانع منه لو كان خيرًا. ولو كان هذا خيرًا (5) محضا، أو راجحًا لكان السلف رضي الله عنهم أحق به منا، فإنهم كانوا أشد محبة لرسول الله صلى الله عليه وسلم وتعظيمًا له منا، وهم على الخير أحرص.

 

Ki EID SHARIYAT ka HISSA hai to jis (EID ko) ALLAH ne MASHROO’A kiya hai us par chalo aur jise MASHROO’A nahi kiya to phir DEEN me wo CHEEZE’N AIJAAD na ki jaaye’n jo isme se nahi,yahi MU’AAMLA un UMOOR ka hai jinhe BA’AZ LOG AIJAAD kar lete hain chahe wo NASAARA ki MUSHABIHAT karte hue EESAA ALAIHIS SALAM ka MEELAD manana ho ya phir NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki TA’ZEEM aur MUHABBAT ka TAQAAZA samajh kar unke YAUM E WILAADAT ko EID bana lena, jabki ye HAQEEQAT hai ki WILAADAT ke din ka TA’EEN bajaye khud logo’n ke darmiyan MUKHTALIF FEEH hai,ho sakta hai ki ALLAH TA’AALA aisa karne waalo’n ko is MUHABBAT aur MEHNAT par SAWAAB de,lekin NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki PAIDAAISH waale din ko manane ki BID’AT ko apnane par SAWAAB nahi dega,MEELAD UN NABI manana aisa kaam hai jiska SALAF se koi SUBOOT nahi milta. Agar ye koi ACHA ya BHALAYI ka kaam hota to SAHABA wa TABI’EEN aur TAB’A TABI’EEN isko ZAROOR BAJAA laate jabki iski ZAROORAT bhi thi aur ise karne me koi RUKAAWAT unki RAAH me HAA’EL na thi aur wo RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki MUHABBAT aur TA’ZEEM me hum se badh kar the aur KHAIR ke KAAM karne ke liye (bhi hum se badh kar) KHWAAHISH MAND aur PHURTEELE the phir bhi unhone aisa nahi kiya

 

[[ IQTIZAA SIRAAT UL MUSTAQEEM  SAFA 619 ]]

 

SCAN

12380885_1502281380074745_368034638_o

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
MEELAD

MEELAD AUR IMAM IBN TAIMIYAH RH PART 1

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

MEELAD AUR IMAM IBN TAIMIYAH RH

 

IMAM IBN TAIMIYAH RH farmate hain

 

لم يفعله السلف، مع قيام المقتضي له وعدم المانع منه لو كان خيرًا. ولو كان هذا خيرًا (5) محضا، أو راجحًا لكان السلف رضي الله عنهم أحق به منا، فإنهم كانوا أشد محبة لرسول الله صلى الله عليه وسلم وتعظيمًا له منا، وهم على الخير أحرص  وإنما كمال محبته وتعظيمه في متابعته وطاعته واتباع أمره، وإحياء سنته باطنًا وظاهرًا، ونشر ما بعث به، والجهاد على ذلك بالقلب واليد واللسان. فإن هذه (1) طريقة السابقين الأولين، من المهاجرين والأنصار، والذين اتبعوهم بإحسان

 

Ki SALAF ne MAHFIL E MEELAD ka IN’IQAAD,uske TAQAAZE ka QYAAM aur RUKAWAT wa MAAN’E ke na hone ke BAWAJOOD nahi kiya aur agar ye MAHEZ KHAIR wa BHALAAYI ya RAAJEH BAAT hoti to SALAF SALIHEEN RAZIALLAHU ANHUM hamari NISBAT iske ZYAADAH HAQDAAR the,wo hamari NISBAT RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki MOHABBAT aur TA’ZEEM me ZYAADAH SAKHT aur NEKEE ke KAAMO’N me ZYAADAH HAREES (حریص) the,AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki MOHABBAT aur TA’ZEEM ka KAMAAL AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki ZAAHIRAN wa BAATINAN ITAA’AT karne, AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke HUKM ke aage SAR TASLEEM KHAM (خم) karne,AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki SUNNAT ko ZINDAH karne aur jo AHKAAMAT AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ko dekar bheja gaya use PHAILAANE aur in UMOOR par DIL,HAATH aur ZUBAAN ke saath JIHAAD karne me hai aur yahi TAREEQA ANSAAR wa MUHAJIREEN jo sabse pahle SABQAT karne waale aur unke ache TAREEQO’N ke saath PAIRWI karne waalo’n ka tha

 

[[ IQTIZAA SIRAAT UL MUSTAQEEM SAFA 619 ]]

 

SCAN

12398489_1502112330091650_1782960316_o

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard