RAFUL YADAIN

KYA JUZZ RAFUL YADAIN AUR JUZZ AL QIR’AT IMAM BUKHARI RH KI KITAB NAHI HAI ? EK AITERAZ AUR USKA JAIZAH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

KYA JUZZ AL RAFUL YADAIN AUR JUZZ AL QIRAT IMAM BUKHARI RH KI KITAB NAHI HAI?

 

Baaz logo’n ko ye kehte hue suna gaya hai ki ye KITABE’N IMAM BUKHARI RH se SAABIT nahi hai

 

In logo’n ke is AITERAZ ki BUNIYAAD ye hai ki in dono KITAB ki SANAD me ek RAAWI “MAHMOOD BIN IS’HAAQ ALBUKHARI ALKHAZAA’E ALQAWAAS RAHIMAULLAH ( محمود بن اسحاق البخاري الخزاعي القواس) hain aur in par ye AITERAZ kiya jaata hai ki ye MAJHOOL hain aur isi bina par ye kaha jaata hai ki ye IMAM BUKHARI RH ki KITAAB nahi hai

 

IN SHA ALLAH AAJ IS POST ME IS RAAWI KE BAARE ME TAFSEELI GUFTUGU HOGE

 

Chunancha ab MAHMOOD BIN IS’HAAQ RAHIMAULLAH ki SAREEH aur GHAIR SAREEH TAUSEEQ ke HAWAALE PESH E KHIDMAT hain

 

HAAFIZ IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH ne MAHMOOD BIN IS’HAAQ ki BAYAN KARDAH ek RIWAYAT ko “HASAN” QARAR diya hai

 

[[ MAWAFIQATUL KHABAR UL KHABAR JILD 1 SAFA 417 ]]

 

SCAN

PhotoGrid_1447060542754

 

Continue reading

Standard
TAQLEED

KYA IMAM AHMAD RH NE TAQLEED NA KARNE WALO’N KO FAASIQ KAHA HAI? EK AITERAZ AUR USKA JAIZAH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

KYA IMAM AHMAD RH NE TAQLEED NA KARNE WAALO’N KO FAASIQ KAHA HAI ? EK AITERAZ AUR USKA JAAIZAH

 

BAAZ MUQALLIDEEN ko dekha jaata hai ki wo DIFAA E TAQLEED me IMAM AHMAD RH ka ye QAUL pesh karte hain

 

SCAN

12025416_1488965868072185_486570072_n

 

 

INSHA ALLAH AAJ IS POST ME ISKA JAWAAB DIYA JAAYEGA MULAHIZA HO: –

 

IMAM IBN ABI YA’ALA RH ki KITAB TABQAT UL HANABILAH me MAUJOOD IMAM AHMAD RH se MANSOOB ye KALAAM DAR’ASAL ek poore RISAALAH se MUQTABIS hai aur iski SANAD ye hai

 

ABUL HASAN IBN ABI YA’ALA (526 H) farmate hain

 

روى عَنْ إمامنا أشياء منها: ما قرأت عَلَى المبارك عَنْ علي بن عمر البرمكي قَالَ أَخْبَرَنَا أحمد بْن عَبْدِ الله المالكي لفظا حَدَّثَنَا أبي حَدَّثَنَا محمد بن إبراهيم بْن عَبْدِ اللَّهِ بن يعقوب بن زوران حَدَّثَنَا أبو العباس أحمد بن جعفر بن يعقوب بْن عَبْدِ اللَّهِ الفارسي الأصطخري قَالَ قَالَ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ أحمد بن محمد بن حنبل.

 

[[ TABQAT UL HANABILAH JILD 1 SAFA 54,55 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446338498947

 

IS SANAD ME EK RAAWI YA’QOOB BIN ABDULLAH ALFAARSI “AL ASTAKHREE” HAIN INKE BAARE ME AQWAALAT MULAHIZA HO’N

 

IMAM ZAHBI RH is RIWAYAT ke MUTA’ALLIQ likhte hain

 

’’ كرسالة الاصطخري، ولا كالرد على الجهمية الموضوع على أبي عبد الله

 

Ki “ASTAKHREE” ki RIWAYAT se IMAM AHMAD RH ka KALAAM aur AL RADD ALAL JAHMIYAH naami RISAALAH IMAM ABU ABDULLAH AHMAD BIN HAMBAL ke NAAM par JHOOT GADHE gaye hain

 

[[ SIYAR A’ALAMIN NUBALA JILD 11 SAFA 386,287 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446406166194

 

 

Aur AAGE chal kar ASTAKHREE ke is RISAALAH par MAZEED kuch KALAAM NAQAL karne ke baad IMAM ZAHBI RH farmate hain

 

«إلى أن ذكر أشياء من هذا الأنموذج المنكر والأشياء التي والله ما قالها الإمام فقاتل الله واضعها.. ومن أسمج ما فيها قوله:

(ومن زعم أنه لا يرى التقليد ولا يقلد دينه أحدًا فهذا قول فاسق عدو لله).. فانظر إلى جهل المحدثين كيف يروون هذه الخرافة ويسكتون عنها»

 

Ki ASTAKHREE ne apni is RIWAAYAT me kayi MUNKIR ASHYAA (اشیاء) NAQAL ki hai, jo “ALLAH KI QASAM IMAAM AHMAD RH KA KALAAM NAHI HAI” jaise ye baat ki ” JO TAQLEED NAHI KARTA AUR KISI KA MUQALLID NAHI WO ALLAH KA DUSHMAN AUR FAASIQ HAI” to AAP RAAWIYO’N ki JIHAALAT dekhiye ki unhone aisi KHURAAFAT KHAAMOSHI se AAGE BAYAAN kar di’n

 

[[ SIYAR A’ALAMIN NUBALA JILD 11 SAFA 303 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446407657213

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH PART 3

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

RADD E TAQLEED AUR IMAM SUYUTI RH PART 3

 

IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH farmate hain

 

وهل اباح مالك و ابو حنيفة والشافعي رضي الله عنہم قط لاحد تقليدهم حاشا لله من هذا بل والله قد نہوا عن ذلك ومنعوا منه ولم يفسحوا لاحد فيه

 

Ki kya IMAM MAALIK aur IMAM ABU HANIFA aur IMAM SHAFAYI RAZIALLAHU ANHU ne kisi ke liye apni TAQLEED ki IJAZAT di hai ? HAAYE AFSOS hai isse , balki ALLAH KI QASAM un logo’n ne to isse MANAA kiya hai aur un logo’n ne to iski ( yani TAQLEED ki ) koi JAGAH hi nahi chori hai kisi ke liye

 

[[ AL RADD ALA MAN AKHLAD SAFA 53 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446562229139

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ  DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYUTI RH PART 2

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

RADD E TAQLEED AUR IMAM JALALUDDIN SUYOOTI RH PART 2

 

IMAM JALALUDDIN SUYOOTI RH farmate hain

 

عن ابن مسعود اثر اصرح فى ذم التقليد من الاثر المذكور وهو ما اخرجه البيهقى فى السنه عنه قال لا تقلدوا دينكم الرجال وقال ابن حزم فى كتابه النبذ الكافية فى علم الاصول التقليد حرام ولا يحل لاحد ان ياخذ قول احد غير رسول الله صلى الله عليه وسلم بلا برهان لقوله تعالى اتبعوا ما أنزل إليكم من ربكم ولا تتبعوا من دونه أولياء وقوله تعالى وإذا قيل لهم اتبعوا ما أنزل الله قالوا بل نتبع ما ألفينا عليه آباءنا وقال فى حق من لم يقلد فبشر عبادى الذين يستمعون القول فيتبعون احسنه اولائك الذين هد اهم الله و اولئك هم اولوا الاباب وقال تعالىفإن تنازعتم في شيء فردوه إلى الله والرسول إن كنتم تؤمنون بالله واليوم الآخر

 

Ki TAQLEED ki MAZAMMAT me HAZRAT ABDULLAH IBN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU ka ASAR saaf MAUJOOD hai ise BAIHAQI ne apni SUNAN me RIWAYAT kiya hai.HAZRAT ABDULLAH IBN MAS’OOD RAZIALLAHU ANHU ne farmaya ki tum apne DEEN me kisi bhi SHAKS ki TAQLEED Matt karna aur IBN HAZAM ne apni KITAB NABZATUL KAAFIYAH FI ILM UL USOOL me farmaya ki TAQLEED “HARAAM” hai aur kisi bhi SHAKS ke liye JAAYEZ nahi ki wo kisi ke QAUL ko IKHTIYAR kare beghair kisi DALEEL ke siwaaye RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLMAM ke. Aur ALLAH ne farmaya us cheez ki ITTIBA’A karo jo tumhari taraf NAAZIL kiya gaya hai tumhare RABB ki taraf se aur matt PAIRWI karo apne AULIYAO’N ki ALLAH ko chor kar (7:3) aur ALLAH ne farmaya aur jab unse kaha jaata hai ki us cheez ki ITTIBA’A karo jo ALLAH ne NAAZIL farmaya hai to ye JAWAAB dete hain NAHI ! Aur kehte hain hum to uski PAIRWI karenge jis par hum ne apne BAAP DADA ko paaya hai (2:170)aur ALLAH ne farmaya BASHARAT de dijiye mere BANDO’N ko jo baato’n ko GAUR se sunte hain aur us cheez ki ITTIBA’A karte hain jo sabse BEHTAR hoti hai yahi wo log hain jinhe ALLAH ne HIDAYAT di hai aur yahi AQAL waale bhi hain (39:18) aur ALLAH ne farmaya agar tumhare DARMIYAAN me kisi cheez par IKHTILAF ho jaaye to use LAUTA do ALLAH aur uske RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki taraf agar tum ALLAH aur QAYAMAT ke din par IMAAN rakhte ho

 

[[ AL RADD ALA MAN AKHLAD SAFA 52,53 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446447450316

 

 

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ  DE AAMEEN

 

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN

 

Standard
TAQLEED

EK MAZHAB KI TAQLEED AUR IMAM TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH

ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

 

EK MAZHAB KI TAQLEED AUR IMAM TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH

 

ALLAMA TAAJ UD DEEN AS SUBKI RH (771 H) farmate hain

 

وأما تعصبكم في فروع الدين وحملكم الناس على مذهب واحد فهو الذي لا يقبله الله منكم ولا يحملكم عليه إلا محض التعصب والتحاسد ولو أن الشافعي وأبا حنيفة ومالكا وأحمد أحياء يرزقون لشددوا النكير عليكم وتبرءوا منكم فيما تفعلون

 

Ki FUROO E DEEN ke MU’AAMLE me tumhari ye TA’ASSUB PARASTI aur logo’n ko ek MAZHAB ko pakadne ki TARGEEB karna ye aisa AMAL hai jise ALLAH tumse QUBOOL nahi karega aur kuch bhi tumhe TARGEEB nahi deta siwaye TA’ASSUB PARASTI aur JALAN ke. Agar IMAM MALIK RH,IMAM ABU HANIFA RH,IMAM SHAFAYI RH,IMAM AHMAD RH ZINDAA hote to ye sab bahut BURI tarah se tumhari TARDEED karte aur TAH E DIL se iski MAZAMMAT karte jo tum kar rahe ho

 

[[ MU’EED UN NA’AM SAFA 76 ]]

 

SCAN

PicsArt_1446286798680

UPLOADED BY==>AMIR ADNAN
Standard